Ariba Khan
Sometimes letting go is all we can do!
Band darwazo me mayusi nahi hoti?
Socho, baarish ka mausam hota tha aur haath me ek garam cup chai
Bheegte bhaagte logo ko dekhne khidkiya khuli hoti thi
Un baraste badalon ka beh jaana ab phirse nahi aata?
Wo aadhi padhkar rakhi hui kitaab yaad hai?
Aaj bhi usme likhe kisse taaza hai aur shayad kal bhi honge
Pehle toh phone uthakar har ek page ki baate discuss karlete the
Ab wohi baate aur baat sunne waala anjaana sa lagta hai?
Seeli deewaron me ghutan nahi hoti?
Wo garmahat, wo hasi, wo yaadein bhi toh ghar ko sajati thi
Ghar ki bhi ek rooh hai aisa khayal bhi toh aata tha
Ab yeh ghar ka makaan bankar rehjaana kisko bhaata hai?
Chalo jise jaana tha wo chala gaya
Ghar ko makaan kargaya
Ab Darwaaze kholo toh sahi
Shayad phir koi anjaana
Apna banne ka intezaar kar raha ho!